abbas mera margaya zainab zainab
shabbir dete thay sada zainab zainab
barpa karo behna aza bhai huwa hum se juda hum hogaye be-aasra kohe musibat gir pada zainab abbas mera margaya…
baazu huwe uske qalam kaisa huwa hai ye sitam
tanha huwe ghurbat may hum matam karo zer e alam
zainab abbas mera margaya…
aata alam ko dekh kar poocha chacha ko tha magar
dar par hai unki muntazar usko na ho is ki khabar
zainab abbas mera margaya…
maare gaye uske chacha maloom usko gar huwa
bali sakina bebaha peetegi sar karke buka
zainab abbas mera margaya…
akbar se ay behna kaho jaakar chachi ko pursa do
pooche hame ghamkhaar jo keh dena hai matam may wo
zainab abbas mera margaya…
tanha hamay ab jaan kar kya kuch karange ahle shar
barbaad hoga ghar ka ghar kat jayega ab mera sar
zainab abbas mera margaya…
karlo anees is dam buka aajaye jaane kab qaza yan waqt aisa aa gaya rone pa ho zulmo jafa zainab abbas mera margaya…