Margia bhai mera haye qamar jhuk gaye | Ghamkhuran e Abbas | Ali Zia Rizvi | nohalibrary | English Writeup

Kartay thay Sarwar buka haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera haaye kamar jhuk gayi


Mar gaye hum jeetay jee chhut gaye hum se akhee
Ho gaye baazu juda haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera haaye kamar jhuk gayi

Kartay thay Sarwar buka…


Kuwwat e baazu tha woh qalb ki taakat tha woh
Ho gaye hum be nawaa haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera haaye kamar jhuk gayi

Kartay thay Sarwar…


Thaam lo baazu pisar le chalo suuay faraat
Mar gaye tere chacha haaye kamar jhuk gayi
Kartay thay Sarwar…
Mar gaya bhai mera…


Le chalo Akbar waha’n bhai hai mera jaha’n
Jald chalo meh laqa haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera…


Darr pe khadee beqaraar karti hai woh intezaar
Us se kahoonga main kya haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera…


Le ke chacha ka alam noha ye padhtay huay
Jao suuay khaima gaah haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera…
Kartay thay Sarwar…


Pyaas se sab hain nidhaal paani ka hoga sawal
Kehna wo sab beh gaya haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera haaye kamar jhuk gayi


Aisa Anees ab kahan paayega Sibt e Nabi
Jaisa ke Abbas tha haaye kamar jhuk gayi
Mar gaya bhai mera haaye kamar jhuk gayi

Kartay thay Sarwar…

Stay Connected

Connect with Ustad Syed Ali Zia Rizvi

Title
.