achay mere baba
hazrat se sakina ne kaha bhool na jaana
achay mere baba
jab khuld may pahuncho to sakina ko bulana achay mere baba
baba mere pyare mere aashiq mere shayda
is waqt phuphi se batlaiye kyon maanga hai
malboos purana
achay mere baba
mai jaan gayi jaate ho sar apna katane
darya ke kanare
pani ka to laane ka faqad hai ye bahana
achay mere baba
tum jaate ho marne ko hamay kis pa hai sompa
ye ghaur ki hai ja
sajjad to bemaar hai batlao thikana
achay mere baba
durr kano se cheenega to faryad karoongi
mai shimre layeen ki
beti ko sitamgar ke tamachon se bachana
achay mere baba