Abbas Kahan Ho | Ali Zia Rizvi & Ali Raza Rizvi (Son of Sachay Bhai) | Muharrum 1446|2024 English Writeup

sar kat gaya jab dasht may zehra ke pisar ka hilti thi zameen kaampta tha arshe moalla surkh aandhi chali khoon ugalne laga sehra wehshat ka ye aalam tha ke hilta tha kaleja
thi ek qayamat sar e maqtal jo bapa thi
goonji hui sehra may faqad ek sada thi
abbas kahan ho aajao jahan ho


seene pa sina kha chuke akbar gaye maare khaali hua jhoola ali asghar gaye maare
tanha hui saydaniya sarwar gaye maare
zainab hai pareshan chale aao jahan ho
abbas kahan ho….


namoose payambar ko badi aas thi tum se
kya aisi bhala bhai khata hogayi hum se
phat jaye kaleja kahin zainab ka na gham se kyon roothay ho kis waaste nazro se niha ho
abbas kahan ho….


is dashte musibat may kahan kho gaye bhai naize ki ani aayaye tatheer tak aayi
aajao zara chorke darya ki taraai
chaadar sare zainab se utarti hai kahan ho
abbas kahan ho….


ye ahle sitam aur qayamat na machade
sab loot ke asbab e haram aag lagade
darr hai kahin bemaar ka qaima na jalade
phir char taraf sirf dhuan sirf dhuan ho
abbas kahan ho….


dhaane pa sitam aur sitamgar tulay hai
talware liye sab dare qaima pa khade hai
mardo may fakad abid e bemaar bache hai khanjar kahin abid ke galay par na rawan ho
abbas kahan ho….


bacha koi rota hai udhar taapo may aake
bachi koi roti hai idhar khaake tamache
laa’un to bhala laa’un zuban aisi kahan se alfaaz nahi haal jo bachon ka bayan ho
abbas kahan ho….

 

Stay Connected

Connect with Ustad Syed Ali Zia Rizvi

Title
.