aati hai gardoon se ye payham sada
qatl hue sajde may shere khuda
qaanae haq may ye ghazab ho gaya
qatl hue sajde may shere khuda

 

gham se hai zainab nidhaal, khol diye sar ke baal
kehti hai ye pur malaal, dekho to baba ka haal
dete hai gibreel ye kaisi nida
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

 

saath pade jalwagar, kehti hai sar peet kar
phat-ta hai mera jigar, koi to laaye khabar
ghar may khuda ke ye sitam kya hua
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

 

dekho to hasnain ja, baba ko ghar may to lao
aisa laga sar pe ghao, mujko khudara batao
poocho to jarraah se hogi shifa
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

 

nashtare gham dil pa khaye, daud kar hasnain aaye
dekha ajab haal hai, khoon may hai baba nahaye
farsh se ta arsh hai mehshar bapa
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

 

haaye qayamat hui, taygh sitam ki chali
maara ali-e-wali, girya-e-roohe nabi
kaisi layeen ne ye ki jor o jafa
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

 

ay mere zakhmi imam, tum pa durood-o-salaam
khoob ki tableegh e aam, de diya khaatil ko jaam
hoga anees aisi koi peshwa
qatl hue sajde may shere khuda
aati hai gardoon…

Stay Connected

Connect with Ustad Syed Ali Zia Rizvi

Title
.