aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko ali akbar ali akbar
laila ke lab pe har dam rehta tha ek naala
wo tha to us ke dam se ghar may tha ek ujaala
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar…
kat jayenge wo gaysoo sab khaak may lahoo may
ye din bhi dekhna thay sehre ki aarzoo may
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar…
phir eid aayi sabne pehne naye libaday
aaye nahi palat kar ummat ke shaahzade
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar…
khursheed sa wo chehra rangat may tha
sunehra palkon ki chilmano par tha abru’on ka pehra
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar…
sunte hai uska chehra sab khoon may bhar gaya tha
kehte hai uske dil may naiza utar gaya tha
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko ali akbar ali akbar…
zainab se hoke ruqsat jab ran ko wo chala tha har koi badke uske maathe ko choomta tha aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar…