akbar-e-kadiyal jawan, akbar-e-kadiyal jawan seene pe akbar ne jab zulm ki khaayi sina
har taraf chaayi hui gham ki thi tareekiyan
kehti thi sar peet kar is tarha maqtal may maa akbar-e-kadiyal jawan…
kaise hue beta tum aankhon se meri nihaa kaise pura shoab may maa tumhe dhoonde kahan
tum hi do awaaz ho ali akbar jahan akbar-e-kadiyal jawan…
algharaz pahunchay wahan thokare khaate hussain
khoon may dooba hua aaya nazar noore ayn kehke zameen par giray haaye mere dil ke chain akbar-e-kadiyal jawan…
dekha ke seene se hai khoon ka darya rawan dard se noor e nazar khaak pa hai neem jaan khaynchli dil thaam ke seene se sheh ne sina akbar-e-kadiyal jawan…
laashaye akbar na jab shahe huda se utha
rukh kiya suye najaf aaiye mushkil kusha
kaise pura shoab may dekhiye mai lut gaya akbar-e-kadiyal jawan…
sadke ho tum par ye maa aankhein to kholo zara
sadke ho tum par ye maa moo se to bolo zara sadke ho tum par ye maa zakhm to dholo zara
akbar-e-kadiyal jawan…